Videos

Images

Quotes/Jokes

FunnyTube

Shayari

Amazing Shayari collection the internet Shayari for every mood



Kuch Waqt Tanhai Mein


Kuch Waqt Tanhai Mein Beetaya Toh
Kuch Yaadein Taza Ho Gayi
Raah Mein Mila Tha Koi Saathi
Kaise Mujh Se Bewafa Ho Gayi

Khushi Ke Aasu Rukne


Khushi Ke Aasu Rukne Na Dena Gum Ke Aasu Bahne Na Dena Yeh Zindagi Na Jane Kab Ruk Jayegi Magar Ye Pyari Si Relationsip Kabhi Tutne Na Dena Happy new year 2015

Hansi masoom si bachchon


Hansi masoom si bachchon ki copy mein ibarat si Hiran ki peet par baithi parinde ki shararat si Wo jaise sardiyon mein garm kapde de faqiron ko Labon pe muskurahat thi magar kaisi hiqarat si.

Jab Se Meri Aap


Jab Se Meri Aap Se Mulakat Ho Gayi Hai,
Dost Kahte Hain Aap Meri Jaan Ho Gayi Hai,

Azeeb Kashmkash Mein Uljha Hua Hun Main,
Ab Har Saans Meri Aapki Gulam Ho Gayi Hai,

Jab Se Aayi Hain Aap Meri Zindagi Mein,
Har Khushi Dil Se Hum-Zubaan Ho Gayi Hai,

Aapke Hothhon Par Kya Aayi Gazlein Meri,
Us Din Se Meri Har Shayari Bhi Jawaan Ho Gayi Hai,

Aap Chha Gaye Hain Meri Zindagi Pe Is Kadar,
Har Ek Meri Dhadkan Aapki Gulam Ho Gayi Hai,

Jee Chahta Hai Baahon Mein Samet Loon Aapko,
Sukun Chhin Gaya Hai, Neend Haraam Ho Gayi Hai,

Dekhkar Khuli Huyi Zulfein Aapki Eh Sanam,
Ghatayein Sham Ki Pareshaan Ho Gayi Hai,

Sunkar Jhankaar Aapki Paayal Ki Eh Sanam,
Mahfil Sangeet Ki Bejubaan Ho Gayi Hai,

Jab Se Meri Aap Se Mulakat Ho Gayi Hai,
Dost Kahte Hain Aap Meri Jaan Ho Gayi Hai…

Jane Meri Aankho Se


Jane Meri Aankho Se Kitney Aansu Beh Gaye
Insano Ki Bheed Me Dekho Tanha Reh Gaye
Krte The Jo Kabhi Apni Wafa Ki Batein
Aaj Wahi Sanam Mujhe Bewafa Keh Gaye.

आ जा अभी सर्दी


आ जा अभी सर्दी का मौसम नही गुजरा,
पहाड़ो में अभी भी बर्फ जमी है..
सब कुछ है मेरे पास मगर..
सिर्फ इक तेरी ही कमी है…

कल के नौसखिए..सिकंदर हो


कल के नौसखिए..सिकंदर हो गए..!
हल्की हवा के झोंके..बवंडर हो गए..!
मै लड़ता रहा..उसूलों की पतवार थामें..!
मै कतरा ही रहा..लोग समन्दर हो गए..!

Hum to tere dil


Hum to tere dil ki mehfil sajane aye the,
Teri kasam tujhe apna banane aye the.
Kis baat ki saza di tune hum ko,
Bewafa hum to tere dard ko apnane aye the.

अनजान बनकर आऐ थे, पहचान


अनजान बनकर आऐ थे,
पहचान देकर चले गऐ,
यार बनकर आऐ थे,
प्यार देकर चले गऐ..

ज़माने से सुना था


ज़माने से सुना था कि मोहब्बत हार जाती है,
जो चाहत एक तरफ हो वो चाहत हार जाती है,
कहीं दुआ का एक लफ्ज़ असर कर जाता हैं,
और कभी बरसों की इबादत भी हार जाती है। …


Next Page Previous Page