Raat Ke Saaye Tale
Raat Ke Saaye Tale Bhaith Te Hain
Hum, Tere Khayalon Me Khoye Rehte
Hain Hum, Mil Jaye Humari Mohabbat
Ka Tohfa Tere Roop Me, Khud Se Bas
Yehi Khawish Roz Roz Krte Hain Hum.
Dhadkane Hain Bechain Sunne Ko
Wo Baat, Soye Nahi Hum Jinki Yado
Me Saari Raat, Kya Wo Keh Payegi
Humse Apne Dil Ki Dastan, Ya Fir
Tadpayegi Humko Yu hi Subha Shaam!
Kabhi Nadi Kabhi Sehra Dikhai
Deta Hai, Tumhari Aankon
Mein Kya kya Dikhai Deta
Hai, Main Kya Bataaun Abhi
Kaun Paas Se Guzra, Har Ek
Chehra Tujh Sa Dikhai Deta Hai.
Deewane hai tere naam ke,
is baat se inkaar nahi,
kaise kahen hame aapse pyaar nahi.
Kuch to kasoor aapki adaaon ka hai,
ham akele gunagaar nahi.
Dekho fir raat aa gai……
tanhaiyo me waqt ki baat aa gai
hum to yu hi bethe the sitaro ki panah me…..
Chand ko dekha to humhari yaad aa gai.
Hum To Sukhe Patto Se Pyar Kar Lengye.
Path Jhar Mai Bhar Ka Intzar Kar Lengye.
Ek Bar Khe Do Ki Hum Tumhare Hai.
Hum Zindgi Bhar Tumhara Intzaar Kar Lengye.
saccha hai apna pyar to iss jahan se kya dar.
gul ban ke gulsitan me fir khilengen hum .
abb bicchad rahe hai koi ranz (dhuk) mat karo .
fir bahaar aayege to fir milenge hum…
Mohabbat ko jab log KHUDA mante hai,
fir pyar karne walo ko kyun bura mante hai.
Jab jamana hi pathar dil hai.
Fir pathar se log kyun dua mangte hai ?
Phir Se Woh Sapne Sajane Chala
Hoon, Umedoon Ke Sare Diye
Jalane Chala Hoon, Anzam Toh
Mera Bura Hi Hoga, Phir Bhi
Tumhein Aapna Banane Chala Hoon.
Aansuo Ki Tarah Na Beh Jao Tum
Dua Hai Kbhi Meri Zindgi Se
Na Jao Tum Mout Ka Dar Nahi
Mujhe Ae Sanam Bas Dar Hai Maut
Se Pehle Na Bichhad Jao Tum!
Teri Aankho Ke Dariya Ka Utarna Bhi
Zaroori Tha, Mohabbat Bhi Zaroori
Thi Bichadna Bhi Zaroori Tha, Zaroori
Tha Ki Hum Dono Tawaaf E Aarzoo
Karte, Magar Phir Aarzuon Ka
Bikharna Bhi Zaroori Tha, Teri Aankho
Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha.
Na Rahi Aaj Wo Apni Kahani
Na Wo Hasin Din
Na Wo Raate Suhani
Phir B Hume Aziz Hai Unki Har Nishani
Chahe Dil Ka Wo Dard Ho ya Ankho Ka Pani
Sab chahane se har baat nahi hoti,
Thode se andhere se raat nhi hoti.
Aur jo zindgi me sabse pyaare hain,
Unse roz mulakat nahi hoti!
Kitna haseen chand ka chehra hai,
Uspe shabaab ka rang gehra hai..
Khuda ko yakeen na tha wafa pe,
Tabhi to ek chand par hazaaron taaron ka pehra hai..
Kisi na kisi pe kisi ko aitbaar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
khubiyon se nahi hoti mohabbat sada,
kamiyon se bhi aksar pyar ho jata hai.
pyar se pyar tab tak na karo jab tak pyar aapse pyar na kare,
aur jab pyar aapse pyar kare to pyar se itna pyar karo ki pyar kisi
aur se pyar na kare.
Maykhano Se Jyada Nasha Aapki Mad
Bhari Baton Me Tha, Tod Kar Uff Tak
Na Kiya Jo Dil Aapke Hathon Me Tha,
Aap Ke Liye Pyar Hi Pyar Hamari
Har Sanso Me ThaEk Bar To Jhanka Hota
Kitna Shabab Hamari Aankhon Me Tha.
Gulab Ko Bhi Kamal Bana Denge,
Teri Ek Ada Pe Kai Ghazal Bana
Denge, Agar Tum Aa Jao Meri
Zindagi Mein, To Kasam Se Aap Ke
Dil Me Bhi Ek Taj Mahal Bana Denge.
Apni Sanso Me Mahakta Paya H
Apko. Hr Khwab Me Humne Bulaya
H Apko. Q Na Kre Shiddat Se
Yaad Apko Jab Humari Mohbaat K
Liye Hi Khudane Banya Hai Aapko.
Ujdi Hui Dunyia Ko Tu Abaad Na
Kar, Beete Hue Lamho Ko Tu Yaad
Na Kar, Ek Qaid Parinde Ne
Yeh Kaha Humse Main Bhool Chuka
Hun Udna Mujhe Azaad Na Kar.
Wo Jiska Teer Chupke Se Jigar Ke Paar
Hota Hai Wo Koi Gair Kya Apna Hi
Ristedaar Hota Hai Kisi Se Apne Dil Ki
Baat Tu Kehna Na Bhule Se Yaha Khat
Bhi Zara Si Der Me Akhbar Hota Hai.
Dil Ki Tamanna Dil Hi Basa Le
Tujhe, Dil Ke Har Jarro Me
Chupa Le Tujhe, Muskurahat Ban
Ke Bas Jao Hoto Pe, Har Arrzu
Har Tamanna Dil Ka Bana Le Tujhe.
Talaash Meri Thi Aur Bhatak Raha
Tha Woh, Dil Mera Tha Aur Dharak
Raha Tha Woh Pyaar Ka Taalluq
Bada Ajeeb Hota Hai Pyaas
Meri Thi Aur Sisak Raha Tha Woh.
Hume To Ab Bhi Woh Guzra Zamana
Yaad Aataa Hai, Tumhe Bhi Kya
Kabhi Koi Deewana Yaad Aataa Hai,
Hawaye Tez Thi Baarish Bhi Thi
Tufaan Bhi Thaa Lekin Tera Aise
Mein Bhi Wada Nibhana Yaad Aataa Hai.
Hamse Dur Rahkar Kitna Hame
Sataoge, Jitna Dur Jaoge Utna
Yaad Aaoge, Tumse Dur Rahna
Hamari Majburi Hai Dekhte
Hain Tum Hame Kab Tak Sataoge.
Tere Bina hum jeena bhool jaate hain…
Zakhmon ko seena bhool jate hain..
Tu zindagi main sabse azeez hai humain..
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.
Pehchan to meri bhi koi nhi,
Pata nhi Q phir bhi log mujhe pehchante hai.
Mohabat to mujhe bhi unse bahut hai,
Pata nhi Q unke alava sabhi ye jante hai.
Hasta Hua Chehra Tanhaayi Me Rota
Hai, Dil Kitna Bhi Mazbur Ho
Dard To Hota Hai, Mana Ki Dur
Hai Hum Aap Se Magar, Judaai Se
Toh Rishta Aur Bhi Mazbut Hota Hai.
Padhi Jo Ek Nazar Hum Dekhte
Reh Gaye, Vaar Hua Katil
Muskaan Ka Hum Madhosh Ho Gaye,
Chahat Ki Chandani Mein Bheega
Yuoon Tan Badan, Hum Kali Se
Pal Bhar Mai Gulaab Ho Gaye!!
Taiz Barish Mein Kabhi Sard Hawaon
Me Raha, Ek Tera Zikar Tha Jo Meri
Sadaaon Mein Raha Kitne Logon Se
Mere Gehre Rishte The Magr Tera
Chehra Hi Sirf Meri Duaon Mein Raha!