Wo kat ke puraze
Wo kat ke puraze uda raha tha hawaon ka rup dikha raha tha kuch aur bhi ho gaya numayan main apna likha mita raha tha usi ka iman badal gaya hai kabhi jo mera khuda raha tha wo ek din ek ajanabi ko meri kahani suna raha tha wo umr kar raha tha meri main saal apne badha raha tha