Yeh Chaand Aur Yeh


Yeh Chaand Aur Yeh Abar-e-Rawaan Guzarta Rahe
Jamaal-e-Shaam Teh-e-Asmaan Guzarta Rahe,

Bhara Rahe Teri Khushbu Se Tera Sehn-e-Chaman
Bas Ek Mosam-e-Ambar Fishaan Guzarta Rahe,

Sama`aten Tere Lehje Se Phool Chunti Rahein
Dilon K Saaz Pe Tu Naghma Khawaan Guzarta Rahe,

Khuda Kare Teri Aankhen Humesha Hansti Rahen
Diyaar-e-Waqt Se Tu Shaadmaan Guzarta Rahe,

Main Tujh Ko Dekh Na Paaon To Kuch Malaal Nahi
Kaheen Bhi Ho Tu, Sitara Nishaan Guzarta Rahe,

Main Maangti Hoon Teri ZIndgi Qiyamat Tak
Hawaa Ki Tarah Se Tu Jawedaan Guzarta Rahe,

Mera Sitara Kaheen Toot Kar Bekhar Jaaye
Falaik Se Tera Khat-e-Kehkashaan Guzarta Rahe,

Main Teri CHaaon Mein Kuch Dair Bayth Loon Aur Pher
Tamaam Raasta Be Saaiebaan Guzarta Rahe,

Yeh Aag Mujh Ko Humesha Kiye Rahe Roshan
Mere Wajood Se Tu Shola Saan Guzarta Rahe,

Main Tujh Ko Dekh Sakoon Aakhri Basarat Tak
Nazar Kay Saamne Bass Ek Samaan Guzarta Rahe,

Humaara Naam Kaheen To Likha Howa Hoga
Mah-o-Najoom Se Yeh Khakdaan Guzarta Rahe,

Main Tera Saath na De Paaon Pher Bhi Tera Safar
Gulaab-o-Khawab Kay Hi Darmiyaan Guzarta Rahe,

Main Tere Seene Pe Sarr Rakh Kar Waqt Bhool Gai
Khiyaal-e-Tezi Umar-e-Rawaan Guzarta Rahe.


Tags : friendship