Upload


Video Result For DIY


Image Result For DIY

Text And Jokes Result For DIY

Maan Achi Tarah Tyar


Maan Achi Tarah Tyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai, Bohat Sa Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai, Sabhi Behno Ki Muhabbat Aaj Muje hi Ko Dey Do, Dil-o-Jaan Nisaar Karna, Aj Mera Akhri Din ha, Abbu ha Ammi ha Behan Bhai ha Saray, Muj Ko Na Shumar Karna, Aj Mera Akhri Din ha, Tumhay Staya, Tumhay Rulaya, Bohat Dukh diye hai tum ko, Mujhe Maaf Meray Yaar Karna, aj Mera Akhri din ha, Mai Chala KHUDA HAFIZ, Phir Milay Gey Jannat ma, Maa Akhri Baar Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din ha!

q zindagi ke reh


q zindagi ke reh mein majabur ho gae itane hue karib ki hum dur ho gae aisa nahi ki hamako koi bhi khushi nahi lekin ye zindagi to koi zindagi nahi kyon isake faisale hamen manzur ho gae paya tumhen to hamako laga tumako kho diya hum dil pe roe aur ye dil hum pe ro diya palkon se kvab …

Meri mohobaat ka usne


Meri mohobaat ka usne yu sila diya, Meri yaado ko mitti mein mila diya….

Khush h vo kisi gair ko apna bana k, Aur humko usne gair bana diya…..

Meri mohobaat ke kabar par, Usne apna naya jahan basa liya

Wo roye to bahot


Wo roye to bahot per mujhse muh mor kar roye
Koi majburi rahi hogi jo dil tor kar roye
Mere saamne kar diye usne meri tasveer ke tukde
Pata chala mere peeche wo unhe jod kar roye

Hansi masoom si bachchon


Hansi masoom si bachchon ki copy mein ibarat si Hiran ki peet par baithi parinde ki shararat si Wo jaise sardiyon mein garm kapde de faqiron ko Labon pe muskurahat thi magar kaisi hiqarat si.

Kya kisi aur ko


Kya kisi aur ko bhi waqt diya hai tune, Kya kisi aur se bhi waada kiya hai tune, Raah mein kya koyi dhanwaan mila tha tujhako, Kya mohabbat ka badal dhund liya hai tune…

Yeh Chaand Aur Yeh


Yeh Chaand Aur Yeh Abar-e-Rawaan Guzarta Rahe
Jamaal-e-Shaam Teh-e-Asmaan Guzarta Rahe,

Bhara Rahe Teri Khushbu Se Tera Sehn-e-Chaman
Bas Ek Mosam-e-Ambar Fishaan Guzarta Rahe,

Sama`aten Tere Lehje Se Phool Chunti Rahein
Dilon K Saaz Pe Tu Naghma Khawaan Guzarta Rahe,

Khuda Kare Teri Aankhen Humesha Hansti Rahen
Diyaar-e-Waqt Se Tu Shaadmaan Guzarta Rahe,

Main Tujh Ko Dekh Na Paaon To Kuch Malaal Nahi
Kaheen Bhi Ho Tu, Sitara Nishaan Guzarta Rahe,

Main Maangti Hoon Teri ZIndgi Qiyamat Tak
Hawaa Ki Tarah Se Tu Jawedaan Guzarta Rahe,

Mera Sitara Kaheen Toot Kar Bekhar Jaaye
Falaik Se Tera Khat-e-Kehkashaan Guzarta Rahe,

Main Teri CHaaon Mein Kuch Dair Bayth Loon Aur Pher
Tamaam Raasta Be Saaiebaan Guzarta Rahe,

Yeh Aag Mujh Ko Humesha Kiye Rahe Roshan
Mere Wajood Se Tu Shola Saan Guzarta Rahe,

Main Tujh Ko Dekh Sakoon Aakhri Basarat Tak
Nazar Kay Saamne Bass Ek Samaan Guzarta Rahe,

Humaara Naam Kaheen To Likha Howa Hoga
Mah-o-Najoom Se Yeh Khakdaan Guzarta Rahe,

Main Tera Saath na De Paaon Pher Bhi Tera Safar
Gulaab-o-Khawab Kay Hi Darmiyaan Guzarta Rahe,

Main Tere Seene Pe Sarr Rakh Kar Waqt Bhool Gai
Khiyaal-e-Tezi Umar-e-Rawaan Guzarta Rahe.

Sardi me sikudkar koi


Sardi me sikudkar koi raat nikaal deta he,
Sookhi haddiyon ke dhaanche me zindagi paal leta he,
Afsos insaan ko insaan se itni nafrat,
Maut ke baad bhi bolte chehre pe kafan daal deta he.